AAJ KE NETA G

 MY FIRST POETRY ON BLOG IS DEDICATED TO MR. KEJRIWAL`S MOVEMENT FOR HANDICAPPED.



 AAJ KE NETA G KO DEKH LO, BADA SASTA CHAHEN JAB KHARID LO.
 
 GANDHI SHASTRI NA BIKE KISI KEEMAT PE, AAJ KE NETA BIKE BAS KARODO PE.

SASTI KEEMAT LAGATA IMAAN KI, ICCHA RAKHTA NETA SAMMAAN KI.

JIS THALI ME KHAE USI ME CHED KARE, JANTA APRAADHI AUR NETA ME KAISE BHED KARE.

JIS DESH ME RAHE USI SE KARE BEIMAAMI, RAJA SAMJHE NETA KHUD KO KARE MANMAANI.

AAM AADMI JAB DESH HIT MEIN  KARE ANSHAN, NETA G KO LAGE KISI NATAK KA MANCHAN.

NAITIKTA TO JAISE BECH KHAI HAI, KEEMAT IS KI INHONE BADI PAAI HAI.

NETA G KO CHOOKAR NA GOOJRI HAYA LALACH NE NETA G KO BANAYA BEHAYA.

SHARM KA PAANI GAYA SOOKH, JANTA MARE SAHKAR BHOOK.

DESH KA PAISA NETA G GAYE DAKAAR, SUNHARE BHARAT KA SAPNA KAREN SAKAR.

DESH KI BAGDOR SAMBHALA KAREN, JANTA SE SIDHI BAAT KARNE SE DAREN.

JANTA JAB SACH BOLTI HAI, SARKAR LAADHIYAN KHILWATI HAI.

RAM BHAROSE IS DESH KI NAIYA, BHRASHTACHAR VIRODHI KANOON HAI KHEVAIYA.

AB KUCH LIKHNE KO MERI KALAM KATRATI HAI, NETA G PAR KUCH LIKHNE KO APNI BEIJJATI BATATI HAI.

MERI KALAM NAHIN HAI USASE WAFADAR, JO HAI DESH KA SABSE BADA GADDAR.
 

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

Thank you...

लोकप्रिय पोस्ट